#Life#
itna bhi muskil nahi hota jitna aap soch lete ho
Kabhi kabhi kisi ke sath bahut bura hota hai,
To kabhi koi bahut hu dukhad paristhiti(situation) se gujar raha hota hai, lekin fir bhi vah apne face me ek bhi dukh ko nahi aane deta.
Vo sabhi dukho ka samna karta hai ,chahe jaise bhi karta ho , rote hue ,darte hue, marte hue etc.
Aur jab muskil samay tal jata hai na tab vo vyakti apne life me bahut kuch sikh chuka hota hai, (life ke bare me)
Jindagi pariksha leti hai , sabhi ki alag alag paristhiti(situation) me jo pariksha paas karta hai vo sawar jata hai ,nikhar jata hai.
Ab ye nahi hai ki ye pariksha hum nahi de sakte , kyoki humne to taiyari hi nahi ki hai,
Mere dost life jab pariksha leti hai na to puch ke nahi leti. Aur ye sabhi se leti hai alag alag tarike se.
Jaise , family , money, gf,bf, financial.
Etc.
Life me kuch bura hota hai to vyakti tut jata hai , rota hai ,dusro ko galat bolta hai. Ya fir khud ko galat bolta hai.
Tum hi akele nahi ho is duniya me .
Lekin baat ye hai ki aapme vo baat hai ki nahi , ki aap aage badhna chahte ho ki nahi.
Jo aage badhna chahta hai , life usko aage badha hi deti hai.
Aur rahi baat apke carrer bhavishya nirdharan ki to jo
Apko karna hai aap vahi kare, singing, dancing,drama,comedy, science experiments, etc.
dusro ki bato me dhyan mat do, apne goal me focus karo , you're life will be so beautiful.
Aapki life behat khubsurat ho jayegi
Last me ek baat hamesha yaad rakhna ,( khana to khud kama ke khana padega.)
0 Comments